Ban jaun agar tum sa tumhain kaisa lage ga
Har pal main rahon tumse khafa kesa lage ga
.
Parhte ho mujhay tum jo namazon ki tarah se
Ho jaun agar tumse qaza kaisa lage ga
.
Tum pyar main khud ko bhi mitane pe ho razi
Ban jaye agar pyar saza kaisa lage ga
.
Khud se bhi zyada ho yaqeen tumko kisi par
Wo shakhs hi de jaye dagha kaisa lage ga
.
Tum or kisi mehfil ka diya ban ke jalo par
Tanhai mile tumko saza kesa lage ga !!
By Amar Sen