Suno tum lout aao na
tumahri yaad aati hai
koi benaam sa ik durd
in aankhon ko rulaye toh
ye dil jab bhi dharakta hai
tumhara naam leta hai
Sunoo …
tumm lout aao na
Muhabbat ka koi Naghma
hawain jab bhi gaati hain
tumhain waaps bulati hain
ye dhalti shaam apne sung
udaasi ghar laye toh
muhabbt ka fazaoon or tumhari yad ka mousam
mujhe bohat rulati hain
suno
wapis palat aao
tumhain itna batana hai
tumhari yaad aati hai
Sunnooo tum lout aao na !!
By Amar Sen