Ek roj usne kaha mujhse ki....
main pahale jesa nahi raha...
main badal gaya hun......
mene kaha han mujhe bhi lagata hai...
waqt ke sath sath main badal gaya hun...
fir usne kaha pahale tumhare labo par...
har pal mushkurahat rahati thi....
jo ab nahi....
tum pahale jese nahi...
tum ab badal gaye ho......?
mene kaha han tumne sahi kaha...
pahale lab mere mushkurate the ab nahi
mujhe lagata hai sayad vo kahi kho gayi ho...
ya badalate waqt ke sath sath...
mere lab mushukarana bhul gaye ho.....
fir kaha usne pahale to in aanko me tumhari....
chahat ke siwa kuch nahi tha....
thi ajeeb si kask ki gaharayi.....
tumhari in aanko ki mahobbat me....
vo ab kyun nahi hai......?
tum pahale jese nahi rahe.....
tum badal gaye ho......?
mene kaha han sayad ye bhi sach hai..
pahale me khawab bahut dekha karta tha...
par ab sayad meri aankho ko khawabo se...
ab dar lagane laga hai...
sayad badalte waqt ke sath sath....
ye khawab sajana bhul gayi ho...
fir usne kaha kyun rahte ho tum...
yun tanha tanha se gum sum...
kyun har pal aansuo se palko ko..
apni bheego kar rakhate ho....
pahale to tum ese nahi the...
tum bahut badal gaye ho....?
mene kaha han sayad tumne nahi kaha....
pahale me tanha tanha nahi tha....
pahale jab bheegti thi palake meri...
to hatho se unhe ponchha karta tha...
sayad ab jindagi main meri koi nahi hai...
badate waqt ke sath sath...
sayad koi ruth kar mujhse dur chala gaya hai...
fir mene kaha main kaha akela badala hun...
tum bhi to ab bahut badal gayi ho......
ek roj usne kaha mujhse ki....
Aarav tum pahale jese nahi rahe...
main badal gaya hun......
mene kaha han mujhe bhi lagata hai...
waqt ke sath sath main badal gaya hun....
By Amar Sen